Sunday, June 2, 2019

Kya hoga agar 1USD = 1RS ho jaye toh?

Esa hona possible to nhi h par agar ho jaye to bahut kuch badal jaega .. 




India ki economic condition m sudhar aa jaega ..but long term me kaffi dikkato ka samna bhi krna pad skta h ...
Agar esa ho jaega to Bharat k log bahar job krne se jada Bharat m hi job krna pasand krenge ...isse berojgari ki darr or bhi badh jaegi...

for example:- kisi Indian ko US m job karne par 600USD/month milte h jiski value India m 40,000Rs(approx.) k barabar h...Par ab agar 1usd=1rs ho jaye to uske 600usd ki value to India m 600rs k barabar hi rah jaegi...

Esa hone par kachhe maal ki bikari phle k mukable kaffi kam ho jaegi ..kyunki ab dusre desho ko vo maal hmse mahnge damo m kharidna pdega... 

In vajaho se GDP bhi ghat jaegi... Sarakar is samay paise ko majbuut nhi balki usse jada badhne or ghatne se rok rhi h ...
paisa rato raat strong ho jane se fayde kam or nuksaan jada h ...




1986 me , Japanese Yen ne apni strength double kar li thi, pehle 1usd ki kimat 280 yen hua karti thi or achanak agle hi din 1 usd ki kimat 140 yen k barabar rh gyi thi.. isse unke yen ki strength to badh gyi par unki economy crash kar gayi, jisse vo aaj bhi recover nahi kr paye h ..

To Japan ne esa kyu kiya hoga , ye jante hue bhi ki isse kya-kya ho skta h ??? 

-Esa isliye kyunki America ne usse esa karne ko majboor kiya tha....

Isiliye RBI badi hi savdhaani se paise ki strength ko ek hadd tak bnaye hue h...isliye 1usd = 60Rs ek sahi or faydemand deal h India ke liye... isse hamare exports , wages bhi high rahenge or imports bhi kam rahenge...

So, esa hona possible to nhi h ...pr haan dhire-dhire ham paise ki strength ko badha skte h...:)

No comments:

Post a Comment

Mutual fund do's and dont's ...

Here's a breakdown of what to do and what not to do when considering mutual funds: Do: Know your risk tolerance: Before investing, asses...